chhupa rakkha tha yun KHud ko kamal mera tha
chhupā rakkhā thā yuuñ ḳhud ko kamāl merā thā
kisī pe khul nahīñ paayā jo haal merā thā
har ek pā-e-shikasta meñ thī mirī zanjīr
har ek dast-e-talab meñ savāl merā thā
maiñ reza reza bikhartā chalā gayā ḳhud hī
ki apne aap se bachnā muhāl merā thā
har ek samt se sañg-e-sadā kī bārish thī
maiñ chup rahā ki yahī kuchh ma.aal merā thā
tirā ḳhayāl thā taaza havā ke jhoñke meñ
jo gard uḌ ke ga.ī hai malāl merā thā
maiñ ro paḌā huuñ 'tabassum' siyāh rātoñ meñ
ġhurūb-e-māh meñ shāyad zavāl merā thā
chhupa rakkha tha yun KHud ko kamal mera tha
kisi pe khul nahin paya jo haal mera tha
har ek pa-e-shikasta mein thi meri zanjir
har ek dast-e-talab mein sawal mera tha
main reza reza bikharta chala gaya KHud hi
ki apne aap se bachna muhaal mera tha
har ek samt se sang-e-sada ki barish thi
main chup raha ki yahi kuchh maal mera tha
tera KHayal tha taza hawa ke jhonke mein
jo gard uD ke gai hai malal mera tha
main ro paDa hun 'tabassum' siyah raaton mein
ghurub-e-mah mein shayad zawal mera tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.