dad-o-dahish ka aap ki KHugar nahin hun main
dād-o-dahish kā aap kī ḳhūgar nahīñ huuñ maiñ
be-sāḳhta suḳhan huuñ muqarrar nahīñ huuñ maiñ
tārīf tere husn kī aatī hai ġhaib se
mere qalam ke saath to yaksar nahīñ huuñ maiñ
masrūfiyat kā mujh pe yuuñ hamla huā ki ab
ḳhud apne aap ko bhī mayassar nahīñ huuñ maiñ
bande tū andhī duniyā meñ hai kis ko DhūñDhtā
andar se mujh ko DhūñD ki bāhar nahīñ huuñ maiñ
tū bhī kabhī vahāñ se mirā hāl-chāl pūchh
har baar tere baap kā naukar nahīñ huuñ maiñ
sote haiñ ek saath hī maiñ aur iztirāb
aa.egī niiñd jis meñ vo bistar nahīñ huuñ maiñ
tū sar se le ke paañv tā puurī ġhazal hai aur
tere radīf ke bhī barābar nahīñ huuñ maiñ
dad-o-dahish ka aap ki KHugar nahin hun main
be-saKHta suKHan hun muqarrar nahin hun main
tarif tere husn ki aati hai ghaib se
mere qalam ke sath to yaksar nahin hun main
masrufiyat ka mujh pe yun hamla hua ki ab
KHud apne aap ko bhi mayassar nahin hun main
bande tu andhi duniya mein hai kis ko DhunDhta
andar se mujh ko DhunD ki bahar nahin hun main
tu bhi kabhi wahan se mera haal-chaal puchh
har bar tere bap ka naukar nahin hun main
sote hain ek sath hi main aur iztirab
aaegi nind jis mein wo bistar nahin hun main
tu sar se le ke panw ta puri ghazal hai aur
tere radif ke bhi barabar nahin hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.