dar koi jannat-e-pindar ka wa karta hun
dar koī jannat-e-pindār kā vā kartā huuñ
ā.īna dekh ke maiñ hamd-o-sanā kartā huuñ
raat aur din ke kināroñ ke ta.alluq kī qasam
vaqt milte haiñ to milne kī duā kartā huuñ
vo tirā ūñchī havelī ke qafas meñ rahnā
yaad aa.e to parindoñ ko rihā kartā huuñ
ek laḌkī ke ta.āqub meñ ka.ī barsoñ se
nit-na.ī zaat ke hotel meñ rahā kartā huuñ
pūchhtā rahtā huuñ maujoñ se guhar kī ḳhabreñ
ashk-e-gum-gashta kā dariyā se pata kartā huuñ
mujh se 'mansūr' kisī ne to ye pūchā hotā
nañge paañv maiñ tire shahr meñ kyā kartā huuñ
dar koi jannat-e-pindar ka wa karta hun
aaina dekh ke main hamd-o-sana karta hun
raat aur din ke kinaron ke talluq ki qasam
waqt milte hain to milne ki dua karta hun
wo tera unchi haweli ke qafas mein rahna
yaad aae to parindon ko riha karta hun
ek laDki ke taaqub mein kai barson se
nit-nai zat ke hotel mein raha karta hun
puchhta rahta hun maujon se guhar ki KHabren
ashk-e-gum-gashta ka dariya se pata karta hun
mujh se 'mansur' kisi ne to ye pucha hota
nange panw main tere shahr mein kya karta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.