dard ke chehre badal jate hain kyun
dard ke chehre badal jaate haiñ kyuuñ
marsiye naġhmoñ meñ Dhal jaate haiñ kyuuñ
soch ke paikar nahīñ jab mom ke
haath aate hī pighal jaate haiñ kyuuñ
jab bikhar jaatī hai ḳhush-bū ḳhvāb kī
niind ke gesū machal jaate haiñ kyuuñ
jhiil sī āñkhoñ meñ mujh ko dekh kar
do diye chupke se jal jaate haiñ kyuuñ
dhuup chhūtī hai badan ko jab 'shamīm'
barf ke sūraj pighal jaate haiñ kyuuñ
dard ke chehre badal jate hain kyun
marsiye naghmon mein Dhal jate hain kyun
soch ke paikar nahin jab mom ke
hath aate hi pighal jate hain kyun
jab bikhar jati hai KHush-bu KHwab ki
nind ke gesu machal jate hain kyun
jhil si aankhon mein mujh ko dekh kar
do diye chupke se jal jate hain kyun
dhup chhuti hai badan ko jab 'shamim'
barf ke suraj pighal jate hain kyun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.