dard ki KHushbu se ye mahka raha
dard kī ḳhushbū se ye mahkā rahā
jab kabhī kamre meñ maiñ tanhā rahā
umr kī naddī chaḌhī, utrī, ga.ī
jism kā sahrā magar jaltā rahā
din ko taptī filoñ kī ret par
maiñ to abraq kī tarah bikhrā rahā
raat bhar ik jism kī dīvār se
maiñ calender kī tarah chipkā rahā
shab palañg par hāñpte saa.e rahe
ḳhvāb darvāze khaḌā taktā rahā
yaad kī Dibbī meñ kyuuñ rakkho mujhe
maiñ jalī tiilī huuñ, mujh meñ kyā rahā
dard ki KHushbu se ye mahka raha
jab kabhi kamre mein main tanha raha
umr ki naddi chaDhi, utri, gai
jism ka sahra magar jalta raha
din ko tapti filon ki ret par
main to abraq ki tarah bikhra raha
raat bhar ek jism ki diwar se
main calender ki tarah chipka raha
shab palang par hanpte sae rahe
KHwab darwaze khaDa takta raha
yaad ki Dibbi mein kyun rakkho mujhe
main jali tili hun, mujh mein kya raha
- Book : (Beesvin Sadi Main) Maghrabi Bengal Ke urdu Shora (Pg. 311)
- Author : Mushtaq ahmed M.A
- Publication : Iqbal Ahmad And Baradars Sayed Suleh Len Kolkata (1972)
- Edition : 1972
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.