dard ko ashk banane ki zarurat kya thi
dard ko ashk banāne kī zarūrat kyā thī
thā jo is dil meñ dikhāne kī zarūrat kyā thī
ham ne jo kuchh bhī kiyā apnī mohabbat meñ kiyā
go samajhte haiñ zamāne kī zarūrat kyā thī
ho jo chāhat to Tapak paḌtī hai ḳhud āñkhoñ se
ai mire dost batāne kī zarūrat kyā thī
itne hassās haiñ sāñsoñ se pighal jaate haiñ
bijliyāñ ham pe girāne kī zarūrat kyā thī
aise lagtā hai ki kamzor bahut hai tū bhī
jiit kar jashn manāne kī zarūrat kyā thī
dard ko ashk banane ki zarurat kya thi
tha jo is dil mein dikhane ki zarurat kya thi
hum ne jo kuchh bhi kiya apni mohabbat mein kiya
go samajhte hain zamane ki zarurat kya thi
ho jo chahat to Tapak paDti hai KHud aankhon se
ai mere dost batane ki zarurat kya thi
itne hassas hain sanson se pighal jate hain
bijliyan hum pe girane ki zarurat kya thi
aise lagta hai ki kamzor bahut hai tu bhi
jit kar jashn manane ki zarurat kya thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.