Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dayar-e-dil mein naya naya sa charagh koi jala raha hai

Iqbal Ashhar

dayar-e-dil mein naya naya sa charagh koi jala raha hai

Iqbal Ashhar

MORE BYIqbal Ashhar

    dayār-e-dil meñ nayā nayā charāġh koī jalā rahā hai

    maiñ jis dastak muntazir thā mujhe vo lamha bulā rahā hai

    phir adh-khulā koī darīcha mire tasavvur pe chhā rahā hai

    ye khoyā khoyā chāñd jaise tirī kahānī sunā rahā hai

    vo raushnī talab meñ gum hai maiñ ḳhushbuoñ talāsh meñ huuñ

    maiñ dā.eroñ se nikal rahā huuñ vo dā.eroñ meñ samā rahā hai

    vo kam-sinī shafīq yādeñ gulāb ban kar mahak uThī haiñ

    udaas shab ḳhamoshiyoñ meñ ye kaun lorī sunā rahā hai

    suno samundar shoḳh lahro havā.eñ Thahrī haiñ tum bhī Thahro

    vo duur sāhil pe ek bachcha abhī gharauñde banā rahā hai

    dayar-e-dil mein naya naya sa charagh koi jala raha hai

    main jis ki dastak ka muntazir tha mujhe wo lamha bula raha hai

    phir adh-khula sa koi daricha mere tasawwur pe chha raha hai

    ye khoya khoya sa chand jaise teri kahani suna raha hai

    wo raushni ki talab mein gum hai main KHushbuon ki talash mein hun

    main daeron se nikal raha hun wo daeron mein sama raha hai

    wo kam-sini ki shafiq yaaden gulab ban kar mahak uThi hain

    udas shab ki KHamoshiyon mein ye kaun lori suna raha hai

    suno samundar ki shoKH lahro hawaen Thahri hain tum bhi Thahro

    wo dur sahil pe ek bachcha abhi gharaunde bana raha hai

    Source :
    • Book : Rat jage (Pg. 27)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now