dekhen kitne chahne wale niklenge
dekheñ kitne chāhne vaale nikleñge
ab ke ham bhī bhes badal ke nikleñge
chāhe jitnā shahd pilā do shāḳhoñ ko
niim ke patte phir bhī kaḌve nikleñge
pair ke chhāle pūchh rahe haiñ rahbar se
ik raste se kitne raste nikleñge
is lahje se baat nahīñ ban pā.egī
talvāroñ se kaise kāñTe nikleñge
taḳht chhinegā darbānoñ kī sāzish se
aur luTere taaj pahan ke nikleñge
ik ā.īna kitnī shakleñ dekhegā
makkārī ke kitne chehre nikleñge
gird-o-pesh ko thoḌā raushan hone do
merī ghaat meñ mere saa.e nikleñge
'tāriq' terī qismat meñ hī pyaar nahīñ
is bairī ke bair bhī khaTTe nikleñge
dekhen kitne chahne wale niklenge
ab ke hum bhi bhes badal ke niklenge
chahe jitna shahd pila do shaKHon ko
nim ke patte phir bhi kaDwe niklenge
pair ke chhaale puchh rahe hain rahbar se
ek raste se kitne raste niklenge
is lahje se baat nahin ban paegi
talwaron se kaise kanTe niklenge
taKHt chhinega darbanon ki sazish se
aur luTere taj pahan ke niklenge
ek aaina kitni shaklen dekhega
makkari ke kitne chehre niklenge
gird-o-pesh ko thoDa raushan hone do
meri ghat mein mere sae niklenge
'tariq' teri qismat mein hi pyar nahin
is bairi ke bair bhi khaTTe niklenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.