Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Dhalak ke girne se ye dil mera Dara hua hai

Said Iqbal Saadi

Dhalak ke girne se ye dil mera Dara hua hai

Said Iqbal Saadi

MORE BYSaid Iqbal Saadi

    Dhalak ke girne se ye dil mirā Darā huā hai

    chhalakte ashkoñ meñ us ne mujhe rakhā huā hai

    ġhamoñ ke saare parinde is pe aa baiThe

    ḳhushī rut meñ zarā jo dil harā huā hai

    nahīñ haiñ bolne vaale jo chaar apne

    hamāre kānoñ meñ ye shor kyuuñ bharā huā hai

    mujhe milegā vo tinkā nāḳhudā ban kar

    mire liye kisī tūfāñ meñ jo bahā huā hai

    bujhā sake nahīñ tūfān-e-sīm-o-zar us ko

    havā ke ruḳh pe charāġh-e-anā jalā huā hai

    mirī bhī pahlī mohabbat thī sirf yak-tarfa

    mire bhī saath huā sab se jo sadā huā hai

    tumhāre pyaar qarzā hai is qadar dil par

    faqīr-e-dil bhī to qistoñ meñ ghirā huā hai

    hai saañs saañs meñ ḳhushbū usī ab 'sādī'

    vafā phuul jo dil meñ mire khilā huā hai

    Dhalak ke girne se ye dil mera Dara hua hai

    chhalakte ashkon mein us ne mujhe rakha hua hai

    ghamon ke sare parinde hi is pe aa baiThe

    KHushi ki rut mein zara sa jo dil hara hua hai

    nahin hain bolne wale jo chaar su apne

    hamare kanon mein ye shor kyun bhara hua hai

    mujhe milega wo tinka hi naKHuda ban kar

    mere liye kisi tufan mein jo baha hua hai

    bujha sake nahin tufan-e-sim-o-zar us ko

    hawa ke ruKH pe charagh-e-ana jala hua hai

    meri bhi pahli mohabbat thi sirf yak-tarfa

    mere bhi sath hua sab se jo sada hua hai

    tumhaare pyar ka qarza hai is qadar dil par

    faqir-e-dil bhi to qiston mein hi ghira hua hai

    hai sans sans mein KHushbu usi ki ab 'sadi'

    wafa ka phul jo dil mein mere khila hua hai

    Source :
    • Book : Pakistani Adab (Pg. 520)
    • Author : Dr. Rashid Amjad
    • Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
    • Edition : 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now