DhunDh hum un ko pareshan bane baiThe hain
DhunDh hum un ko pareshan bane baiThe hain
Yasin Ali Khan Markaz
MORE BYYasin Ali Khan Markaz
DhūñDh ham un ko pareshān bane baiThe haiñ
vo to parda liye insān bane baiThe haiñ
zauq hāsil unheñ hotā hai har ik sūrat se
rañg-o-be-rañgī se har aan bane baiThe haiñ
chhoḌ masjid ko ga.e dair meñ puujā karne
the musalmān vo rahbān bane baiThe haiñ
baat ye hai ki hayūlā se hai sūrat paidā
har ik ajsām meñ rahmān bane baiThe haiñ
taaza har aan dikhāte haiñ vo jalva apnā
har ta'ayyun ke liye shaan bane baiThe haiñ
haiñ masīhā kahīñ bīmār kahīñ dard kahīñ
har tarah se vahī darmān bane baiThe haiñ
vahī hotā hai har ik kaam jo vo chāhte haiñ
dete hasrat bhī haiñ armān bane baiThe haiñ
kufr-o-islām ke parde se haiñ har haal meñ ḳhush
vājib ā.īna se imkān bane baiThe haiñ
sach to ye hai ki haqīqat jo hai un kī mā'lūm
jānte jo haiñ vo anjān bane baiThe haiñ
jumla advār o shayūnāt se jalva karte
shān-e-'markaz' meñ vo sub.hān bane baiThe haiñ
DhunDh hum un ko pareshan bane baiThe hain
wo to parda liye insan bane baiThe hain
zauq hasil unhen hota hai har ek surat se
rang-o-be-rangi se har aan bane baiThe hain
chhoD masjid ko gae dair mein puja karne
the musalman wo rahban bane baiThe hain
baat ye hai ki hayula se hai surat paida
har ek ajsam mein rahman bane baiThe hain
taza har aan dikhate hain wo jalwa apna
har ta'ayyun ke liye shan bane baiThe hain
hain masiha kahin bimar kahin dard kahin
har tarah se wahi darman bane baiThe hain
wahi hota hai har ek kaam jo wo chahte hain
dete hasrat bhi hain arman bane baiThe hain
kufr-o-islam ke parde se hain har haal mein KHush
wajib aaina se imkan bane baiThe hain
sach to ye hai ki haqiqat jo hai un ki ma'lum
jaante jo hain wo anjaan bane baiThe hain
jumla adwar o shayunat se jalwa karte
shan-e-'markaz' mein wo subhan bane baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.