dhyan dastak pe laga rahta hai
dhyān dastak pe lagā rahtā hai
aur darvāza khulā rahtā hai
kisī malbe se nahīñ pur hotā
mere andar jo ḳhalā rahtā hai
khīñchtā hai vo lakīreñ kyā kyā
aur phir un meñ ghirā rahtā hai
ham ko ḳhāmosh na jaano sāhab
andar ik shor bapā rahtā hai
mujh ko de detā hai gahre paanī
ḳhud jazīroñ pe basā rahtā hai
merī tanhā.ī kī pagDanDī par
mere ham-rāh ḳhudā rahtā hai
ḳhaak bhī rahtī nahīñ insāñ kī
naam patthar pe khudā rahtā hai
rañg-o-bū bharte haiñ is kā paanī
mazbale par jo paḌā rahtā hai
qumqume rahte haiñ raushan 'betāb'
dil hī kam-baḳht bujhā rahtā hai
dhyan dastak pe laga rahta hai
aur darwaza khula rahta hai
kisi malbe se nahin pur hota
mere andar jo KHala rahta hai
khinchta hai wo lakiren kya kya
aur phir un mein ghira rahta hai
hum ko KHamosh na jaano sahab
andar ek shor bapa rahta hai
mujh ko de deta hai gahre pani
KHud jaziron pe basa rahta hai
meri tanhai ki pagDanDi par
mere ham-rah KHuda rahta hai
KHak bhi rahti nahin insan ki
nam patthar pe khuda rahta hai
rang-o-bu bharte hain is ka pani
mazbale par jo paDa rahta hai
qumqume rahte hain raushan 'betab'
dil hi kam-baKHt bujha rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.