dhyan ki mauj ko phir aaina-sima kar len
dhyān kī mauj ko phir ā.ina-sīmā kar leñ
kuchh tajallī kī huzūrī kā bhī yaarā kar leñ
aaj kā din bhī yūñhī biit gayā shaam huī
aur ik raat kā kaTnā bhī gavārā kar leñ
jin ḳhayāloñ ke ulaT pher meñ uljhīñ sāñseñ
un meñ kuchh aur bhī sāñsoñ kā izāfa kar leñ
jin malāloñ se lahū dil kā banā hai aañsū
un ke āñkhoñ se barasne kā nazārā kar leñ
ehtiyātoñ kī guzargāheñ huī haiñ sunsān
ab chhupāyā huā har ghaav huvaidā kar leñ
dhyan ki mauj ko phir aaina-sima kar len
kuchh tajalli ki huzuri ka bhi yara kar len
aaj ka din bhi yunhi bit gaya sham hui
aur ek raat ka kaTna bhi gawara kar len
jin KHayalon ke ulaT pher mein uljhin sansen
un mein kuchh aur bhi sanson ka izafa kar len
jin malalon se lahu dil ka bana hai aansu
un ke aankhon se barasne ka nazara kar len
ehtiyaton ki guzargahen hui hain sunsan
ab chhupaya hua har ghaw huwaida kar len
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.