dil ki taskin ko kafi hai pareshan hona
dil kī taskīn ko kaafī hai pareshāñ honā
hai tavakkul ba-ḳhudā be-sar-o-sāmāñ honā
yuuñ to har diin meñ hai sāhab-e-īmāñ honā
ham ko ik but ne sikhāyā hai musalmāñ honā
ai parī-rū tire dīvāne kā īmāñ kyā hai
ik nigāh-e-ġhalat-andāz pe qurbāñ honā
kor hai chashm jise da.avā-e-bīnā.ī hai
shart-e-avval hai jahāñ dīda-e-hairāñ honā
ham se rindadan-e-balā-nosh kā hai shurb-e-mudām
durd-āshām-e-mai-e-kulfat-e-hijrāñ honā
vaqf-e-taslīm-o-razā chāhiye dil āshiq kā
'sāhir' āsān nahīñ banda-e-jānāñ honā
dil ki taskin ko kafi hai pareshan hona
hai tawakkul ba-KHuda be-sar-o-saman hona
yun to har din mein hai sahab-e-iman hona
hum ko ek but ne sikhaya hai musalman hona
ai pari-ru tere diwane ka iman kya hai
ek nigah-e-ghalat-andaz pe qurban hona
kor hai chashm jise dawa-e-binai hai
shart-e-awwal hai jahan dida-e-hairan hona
hum se rindadan-e-bala-nosh ka hai shurb-e-mudam
durd-asham-e-mai-e-kulfat-e-hijran hona
waqf-e-taslim-o-raza chahiye dil aashiq ka
'sahir' aasan nahin banda-e-jaanan hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.