din ko kah den raat hum samjhe nahin
din ko kah deñ raat ham samjhe nahīñ
aap kī ye baat ham samjhe nahīñ
ham ki ik rehn-e-qafas bismil-nafas
āsmāñ haiñ saat ham samjhe nahīñ
kyā samajh meñ aa.e zāt-e-mā-sivā
mā-sivā-e-zāt ham samjhe nahīñ
ishq se baaz aate ham dīvāne kyā
thī samajh kī baat ham samjhe nahīñ
al-ġharaz hai ziist marhūn-e-ajal
ġhāyat-e-ġhāyāt ham samjhe nahīñ
baat sab kī baat se hai muḳhtalif
terī 'āmir' baat ham samjhe nahīñ
din ko kah den raat hum samjhe nahin
aap ki ye baat hum samjhe nahin
hum ki ek rehn-e-qafas bismil-nafas
aasman hain sat hum samjhe nahin
kya samajh mein aae zat-e-ma-siwa
ma-siwa-e-zat hum samjhe nahin
ishq se baz aate hum diwane kya
thi samajh ki baat hum samjhe nahin
al-gharaz hai zist marhun-e-ajal
ghayat-e-ghayat hum samjhe nahin
baat sab ki baat se hai muKHtalif
teri 'amir' baat hum samjhe nahin
- Book : Shora-e-London (Pg. 147)
- Author : Johar Zahiri
- Publication : Books From India (U.K) Ltd. 45, Museum Street,Londan W.C-1 (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.