duaen kijiye ghunchon ke muskurane ki
duā.eñ kījiye ġhunchoñ ke muskurāne kī
abhī umiid hai baaqī bahār aane kī
maiñ jin kā dil meñ tasavvur sajā.e rakhtā huuñ
koī to raah mile un tak aane jaane kī
talāsh ḳhud hī maiñ kar lūñgā aap ke ghar ko
na dūñgā aap ko zahmat maiñ ghar pe aane kī
baġhair us ke mujhe niiñd kaise aa.egī
duā.eñ dete ho tum kyuuñ mujhe sulāne kī
vo naġhme sañg ko bhī kar deñ mom jo 'sāhil'
hameñ to aaj bhī aadat hai gungunāne kī
duaen kijiye ghunchon ke muskurane ki
abhi umid hai baqi bahaar aane ki
main jin ka dil mein tasawwur sajae rakhta hun
koi to rah mile un tak aane jaane ki
talash KHud hi main kar lunga aap ke ghar ko
na dunga aap ko zahmat main ghar pe aane ki
baghair us ke mujhe nind kaise aaegi
duaen dete ho tum kyun mujhe sulane ki
wo naghme sang ko bhi kar den mom jo 'sahil'
hamein to aaj bhi aadat hai gungunane ki
- Book : Sada-e-Dil (Pg. 5)
- Author : ashok sahni sahil
- Publication : Mithila, Press, Delhi-92 (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.