gaj har dil pe gire to kya karen kis se kahen
gaj har dil pe gire to kya karen kis se kahen
Jatinder Vir Yakhmi jayaveer
MORE BYJatinder Vir Yakhmi jayaveer
gaaj har dil pe gire to kyā kareñ kis se kaheñ
māl-o-zar apnā luTe to kyā kareñ kis se kaheñ
chhoḌ deñ duniyā nahīñ aisā koī bandhan magar
umr ke is dā.ere ko kyā kareñ kis se kaheñ
yuuñ to hai mauqa.a nayā naġhma bane dilkash koī
dhun vahī har saaz pe ho kyā kareñ kis se kaheñ
dukh kaTe zahmat kaTe kaT jaa.e bad-halī sabhī
vaqt kaaTe nā kaTe to kyā kareñ kis se kaheñ
is zamīñ se āsmāñ tak hai balā kī raushnī
ban ke ātish dil jale to kyā kareñ kis se kaheñ
ham tabāh haiñ to sarāsar ġhair pe ilzām hai
ġhair bhī apnā lage to kyā kareñ kis se kaheñ
josh bhī thā valvale bhī kar guzarne ke magar
bas na kuchh apnā chale to kyā kareñ kis se kaheñ
gaj har dil pe gire to kya karen kis se kahen
mal-o-zar apna luTe to kya karen kis se kahen
chhoD den duniya nahin aisa koi bandhan magar
umr ke is daere ko kya karen kis se kahen
yun to hai mauqa naya naghma bane dilkash koi
dhun wahi har saz pe ho kya karen kis se kahen
dukh kaTe zahmat kaTe kaT jae bad-hali sabhi
waqt kaTe na kaTe to kya karen kis se kahen
is zamin se aasman tak hai bala ki raushni
ban ke aatish dil jale to kya karen kis se kahen
hum tabah hain to sarasar ghair pe ilzam hai
ghair bhi apna lage to kya karen kis se kahen
josh bhi tha walwale bhi kar guzarne ke magar
bas na kuchh apna chale to kya karen kis se kahen
- Book : Ehsaas (Pg. 17)
- Author : Jatinder Vir Yakhmi
- Publication : Flate No. 11,4B Culptro State J.V.L.R. Andheri (Est) MUmbai-400 093 (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.