garche sau bar gham-e-hijr se jaan guzri hai
garche sau baar ġham-e-hijr se jaañ guzrī hai
phir bhī jo dil pe guzartī thī kahāñ guzrī hai
aap Thahre haiñ to Thahrā hai nizām-e-ālam
aap guzre haiñ to ik mauj-e-ravāñ guzrī hai
hosh meñ aa.e to batlā.e tirā dīvāna
din guzārā hai kahāñ raat kahāñ guzrī hai
aise lamhe bhī guzāre haiñ tirī furqat meñ
jab tirī yaad bhī is dil pe garāñ guzrī hai
hashr ke ba.ad bhī dīvāne tire pūchhte haiñ
vo qayāmat jo guzarnī thī kahāñ guzrī hai
zindagī 'saif' liye qāfila armānoñ kā
maut kī raat se benām-o-nishāñ guzrī hai
garche sau bar gham-e-hijr se jaan guzri hai
phir bhi jo dil pe guzarti thi kahan guzri hai
aap Thahre hain to Thahra hai nizam-e-alam
aap guzre hain to ek mauj-e-rawan guzri hai
hosh mein aae to batlae tera diwana
din guzara hai kahan raat kahan guzri hai
aise lamhe bhi guzare hain teri furqat mein
jab teri yaad bhi is dil pe garan guzri hai
hashr ke baad bhi diwane tere puchhte hain
wo qayamat jo guzarni thi kahan guzri hai
zindagi 'saif' liye qafila armanon ka
maut ki raat se benam-o-nishan guzri hai
- Book : Kham-e-Kakul (Pg. 51)
- Author : Saifuddin Saif
- Publication : Al-Hamd Publications, Lahore. Pakistan (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.