ghubar-e-jaan se sitara nikalna chahta hai
ġhubār-e-jāñ se sitārā nikalnā chāhtā hai
ye āsmān bhī karvaT badalnā chāhtā hai
mire lahū kā samundar uchhalnā chāhtā hai
ye chāñd mere badan meñ pighalnā chāhtā hai
siyāh dasht meñ imkān-e-raushnī bhī nahīñ
magar ye haath añdhere meñ jalnā chāhtā hai
har ek shāḳh ke hāthoñ meñ phuul mahkeñge
ḳhizāñ kā peḌ bhī kapḌe badalnā chāhtā hai
bahut kaThin hai ki sāñseñ bhī baar lagtī haiñ
mirā vajūd bhī nuqte meñ Dhalnā chāhtā hai
ghubar-e-jaan se sitara nikalna chahta hai
ye aasman bhi karwaT badalna chahta hai
mere lahu ka samundar uchhalna chahta hai
ye chand mere badan mein pighalna chahta hai
siyah dasht mein imkan-e-raushni bhi nahin
magar ye hath andhere mein jalna chahta hai
har ek shaKH ke hathon mein phul mahkenge
KHizan ka peD bhi kapDe badalna chahta hai
bahut kaThin hai ki sansen bhi bar lagti hain
mera wajud bhi nuqte mein Dhalna chahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.