guftugu karne lage ret ke ambar ke sath
guftugū karne lage ret ke ambār ke saath
dostī ho ga.ī āḳhir mirī ashjār ke saath
ishq jaise kahīñ chhūne se bhī lag jaatā ho
kaun baiThegā bhalā aap ke bīmār ke saath
sāhibo mujh ko abhī raqs nahīñ aatā hai
jhuum letā huuñ faqat shaam ke āsār ke saath
yaar kuchh bol mujhe kuchh to yaqīñ aa jaa.e
maiñ tujhe dekhtā huuñ dīda-e-bedār ke saath
saf se niklā mirā sālār rajaz paḌhte hue
aur phir merī taraf chal paḌā aġhyār ke saath
guftugu karne lage ret ke ambar ke sath
dosti ho gai aaKHir meri ashjar ke sath
ishq jaise kahin chhune se bhi lag jata ho
kaun baiThega bhala aap ke bimar ke sath
sahibo mujh ko abhi raqs nahin aata hai
jhum leta hun faqat sham ke aasar ke sath
yar kuchh bol mujhe kuchh to yaqin aa jae
main tujhe dekhta hun dida-e-bedar ke sath
saf se nikla mera salar rajaz paDhte hue
aur phir meri taraf chal paDa aghyar ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.