gul-e-KHurshid khilaunga chala jaunga
gul-e-ḳhurshīd khilā.ūñgā chalā jā.ūñgā
sub.h se haath milā.ūñgā chalā jā.ūñgā
ab to chalnā hai kisī aur hī raftār ke saath
jism bistar pe girā.ūñgā chalā jā.ūñgā
ābla-pā.ī hai rusvā.ī hai raat aa.ī hai
dāman ek ik se chhuḌā.ūñgā chalā jā.ūñgā
hijr sadiyoñ ke tahayyur kī girah kholegā
ik zamāne ko rulā.ūñgā chalā jā.ūñgā
bas tujhe dekhūñgā aate hue apnī jānib
phuul qadmoñ meñ bichhā.ūñgā chalā jā.ūñgā
ishq bhī husn meñ zam hotā dikhā.ūñgā tujhe
jab diyā raqs meñ lā.ūñgā chalā jā.ūñgā
jis taraf bhuul ke bhī dekhā nahīñ aaj talak
qadam us samt baḌhā.uñgā chalā jā.ūñgā
gul-e-KHurshid khilaunga chala jaunga
subh se hath milaunga chala jaunga
ab to chalna hai kisi aur hi raftar ke sath
jism bistar pe giraunga chala jaunga
aabla-pai hai ruswai hai raat aai hai
daman ek ek se chhuDaunga chala jaunga
hijr sadiyon ke tahayyur ki girah kholega
ek zamane ko rulaunga chala jaunga
bas tujhe dekhunga aate hue apni jaanib
phul qadmon mein bichhaunga chala jaunga
ishq bhi husn mein zam hota dikhaunga tujhe
jab diya raqs mein launga chala jaunga
jis taraf bhul ke bhi dekha nahin aaj talak
qadam us samt baDhaunga chala jaunga
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 03.02.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.