gum-shuda sae DhunDhta hun main
gum-shuda saa.e DhūñDhtā huuñ maiñ
lamha ban kar Thahar gayā huuñ maiñ
zāhirī shakl merī zinda hai
aur andar se mar gayā huuñ maiñ
reza reza kiyā havādis ne
apne zarrāt chun rahā huuñ maiñ
kaun dekhegā mujh meñ ab chehra
ā.īna thā bikhar gayā huuñ maiñ
vo rifāqat hai ab na vo shafqat
kitnī āñkhoñ meñ jhāñktā huuñ maiñ
siskiyāñ chīḳh aah naġhma fuġhāñ
kitne pardoñ kī ik sadā huuñ maiñ
koī munsif sazā na de lekin
qātilo tum ko jāntā huuñ maiñ
gum-shuda sae DhunDhta hun main
lamha ban kar Thahar gaya hun main
zahiri shakl meri zinda hai
aur andar se mar gaya hun main
reza reza kiya hawadis ne
apne zarraat chun raha hun main
kaun dekhega mujh mein ab chehra
aaina tha bikhar gaya hun main
wo rifaqat hai ab na wo shafqat
kitni aankhon mein jhankta hun main
siskiyan chiKH aah naghma fughan
kitne pardon ki ek sada hun main
koi munsif saza na de lekin
qatilo tum ko jaanta hun main
- Book : Sahar Numa (Pg. 25)
- Author : Ishrat Qadri
- Publication : Madhya Pradesh Urdu Academy (1984)
- Edition : 1984
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.