ghuncha jo sar-e-shaKH chaTakte hue dekha
ġhuncha jo sar-e-shāḳh chaTakte hue dekhā
pahlū meñ bahut dil ko dhaḌakte hue dekhā
mehñdī-rache hāthoñ ne uThāyā hī thā ghūñghaT
ik shola-e-javvāla lapakte hue dekhā
vo tere bichhaḌne kā samāñ yaad jab aayā
biite hue lamhoñ ko sisakte hue dekhā
bhūlā nahīñ ehsās tire lams kī ḳhushbū
tanhā.ī meñ anfās mahakte hue dekhā
khīñche hue ab tiir kamāñ meñ hai vo bālak
āġhosh meñ jis ko na humakte hue dekhā
jab jab bhī charāġhoñ kī laveñ ham ne baḌhā.īñ
kyā kyā na havāoñ ko sanakte hue dekhā
ghuncha jo sar-e-shaKH chaTakte hue dekha
pahlu mein bahut dil ko dhaDakte hue dekha
mehndi-rache hathon ne uThaya hi tha ghunghaT
ek shola-e-jawwala lapakte hue dekha
wo tere bichhaDne ka saman yaad jab aaya
bite hue lamhon ko sisakte hue dekha
bhula nahin ehsas tere lams ki KHushbu
tanhai mein anfas mahakte hue dekha
khinche hue ab tir kaman mein hai wo baalak
aaghosh mein jis ko na humakte hue dekha
jab jab bhi charaghon ki lawen hum ne baDhain
kya kya na hawaon ko sanakte hue dekha
- Book : Sahar Numa (Pg. 48)
- Author : Ishrat Qadri
- Publication : Madhya Pradesh Urdu Academy (1984)
- Edition : 1984
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.