guzre jidhar se nur bikhere chale gae
guzre jidhar se nuur bikhere chale ga.e
vo ham-safar hue to añdhere chale ga.e
ab maiñ huuñ aur shiddat-e-ġham kī hai tez dhuup
un gesuoñ ke saa.e ghanere chale ga.e
mere tafakkurāt ko Dastī rahī thī jo
nāgin chalī ga.ī vo sapere chale ga.e
ummīd ke shajar pe vo halchal nahīñ rahī
chiḌiyāñ ga.iiñ to rain basere chale ga.e
andhe safar ko ghar se maiñ niklā thā dosto
aa.ī jab un kī yaad añdhere chale ga.e
ātish ne mere ghar ko jalāyā to kyā huā
kuchh der ke liye to añdhere chale ga.e
'hasrat' maiñ be-qarār huuñ luTne ke vāste
jaane kahāñ hasīn luTere chale ga.e
guzre jidhar se nur bikhere chale gae
wo ham-safar hue to andhere chale gae
ab main hun aur shiddat-e-gham ki hai tez dhup
un gesuon ke sae ghanere chale gae
mere tafakkuraat ko Dasti rahi thi jo
nagin chali gai wo sapere chale gae
ummid ke shajar pe wo halchal nahin rahi
chiDiyan gain to rain basere chale gae
andhe safar ko ghar se main nikla tha dosto
aai jab un ki yaad andhere chale gae
aatish ne mere ghar ko jalaya to kya hua
kuchh der ke liye to andhere chale gae
'hasrat' main be-qarar hun luTne ke waste
jaane kahan hasin luTere chale gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.