Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

han kahin jugnu chamakta tha chalo wapas chalo

Saleem Shahzad

han kahin jugnu chamakta tha chalo wapas chalo

Saleem Shahzad

MORE BYSaleem Shahzad

    haañ kahīñ jugnū chamaktā thā chalo vāpas chalo

    in surañgoñ meñ añdherā hai to ho vāpas chalo

    ham ko har andhe fahm-e-manzilat hai shu.ūr

    kah rahā hai qāfile vāloñ se jo vāpas chalo

    us taraf ke qahqahoñ raaz kuchh khultā nahīñ

    is liye apne mātam-zār ko vāpas chalo

    vāpsī ke rāste masdūd ho jaane se qabl

    kis liye tum ho asīr-e-gomago vāpas chalo

    kab tak in āvāra maujoñ tamāshā dekhnā

    gin chuke ho sā.atoñ ke taar to vāpas chalo

    khel stage ḳhālī hai to kis intizār

    jaane kab ho chukā hai ḳhatm show vāpas chalo

    peshtar is ke ki apnī dāstāneñ bhuul jaao

    shahr-e-afsūñ meñ bhaTakte rāvi.yo vāpas chalo

    aao ab chal kar zarā ghar meñ jalāte haiñ charāġh

    chādar-e-zulmat utarne ko hai so vāpas chalo

    han kahin jugnu chamakta tha chalo wapas chalo

    in surangon mein andhera hai to ho wapas chalo

    hum ko har andhe ki fahm-e-manzilat ka hai shuur

    kah raha hai qafile walon se jo wapas chalo

    us taraf ke qahqahon ka raaz kuchh khulta nahin

    is liye apne hi matam-zar ko wapas chalo

    wapsi ke raste masdud ho jaane se qabl

    kis liye tum ho asir-e-gomago wapas chalo

    kab tak in aawara maujon ka tamasha dekhna

    gin chuke ho saaton ke tar to wapas chalo

    khel ka stage KHali hai to kis ka intizar

    jaane kab ka ho chuka hai KHatm show wapas chalo

    peshtar is ke ki apni dastanen bhul jao

    shahr-e-afsun mein bhaTakte rawiyo wapas chalo

    aao ab chal kar zara ghar mein jalate hain charagh

    chadar-e-zulmat utarne ko hai so wapas chalo

    Source :
    • Book : Urdu Quarterly BADBAAN (Pg. 123)
    • Author : Nasir Bagdadi
    • Publication : E-2, 8/14, Mayar Square, Block No.14 Gulshane-e-Iqbal (Oct. - Dec. 2002,Issue No 8 )
    • Edition : Oct. - Dec. 2002,Issue No 8
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now