hadon ke na hone ki zillat se haare hue
hadoñ ke na hone kī zillat se haare hue
abad ke mujassam kināre hamāre hue
nafas ke dayāroñ meñ gholā thā ik lams hī
nikal aa.e saare falak se utāre hue
ab apnī nafī meñ zarā ġhota-zan ho hī leñ
ki sadiyāñ huiiñ ḳhud ko ḳhud se ubhāre hue
parā.ī siyāhī kī āġhosh meñ kyā mile
jo ḳhud dil kī zad par jale vo sitāre hue
ḳhudā kī ḳhamoshī meñ shāyad ho us kā vajūd
zamāna huā naam apnā pukāre hue
adhūre jahānoñ ke tevar adhūre 'riyāz'
ye sab merī takmīl ke isti.āre hue
hadon ke na hone ki zillat se haare hue
abad ke mujassam kinare hamare hue
nafas ke dayaron mein ghola tha ek lams hi
nikal aae sare falak se utare hue
ab apni nafi mein zara ghota-zan ho hi len
ki sadiyan huin KHud ko KHud se ubhaare hue
parai siyahi ki aaghosh mein kya mile
jo KHud dil ki zad par jale wo sitare hue
KHuda ki KHamoshi mein shayad ho us ka wajud
zamana hua nam apna pukare hue
adhure jahanon ke tewar adhure 'riyaz'
ye sab meri takmil ke istiare hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.