hai lahu shahidon ka naqsh-e-jawedan yaro
hai lahū shahīdoñ kā naqsh-e-jāvedāñ yaaro
maqtaloñ meñ hotī hai aaj bhī azaañ yaaro
sail-e-vaqt huuñ mujh ko kaun rok saktā hai
chhīn lo qalam chāhe kaaT lo zabāñ yaaro
bāl-o-par kī mahrūmī aur ḳhuuñ rulātī hai
jab bhī dekh letā huuñ sū-e-asmāñ yaaro
is nigāh-e-baham ko aur kis se duuñ nisbat
nok-e-be-sināñ yaaro tiir be-kamāñ yaaro
un kī bazm-e-rañgīñ kā ahal to na thā lekin
kaam aa ga.ī merī shoḳhī-e-bayāñ yaaro
ye bhī apne mehvar kī samt lauTtā hogā
be-sabab nahīñ uThtā aag se dhuāñ yaaro
is sadī ne baḳhshā hai mujh ko ek nayā lahja
mujh se chhuT nahīñ saktī jiddat-e-bayāñ yaaro
hai lahu shahidon ka naqsh-e-jawedan yaro
maqtalon mein hoti hai aaj bhi azan yaro
sail-e-waqt hun mujh ko kaun rok sakta hai
chhin lo qalam chahe kaT lo zaban yaro
baal-o-par ki mahrumi aur KHun rulati hai
jab bhi dekh leta hun su-e-asman yaro
is nigah-e-baham ko aur kis se dun nisbat
nok-e-be-sinan yaro tir be-kaman yaro
un ki bazm-e-rangin ka ahal to na tha lekin
kaam aa gai meri shoKHi-e-bayan yaro
ye bhi apne mehwar ki samt lauTta hoga
be-sabab nahin uThta aag se dhuan yaro
is sadi ne baKHsha hai mujh ko ek naya lahja
mujh se chhuT nahin sakti jiddat-e-bayan yaro
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.