hairat se dekhta hua chehra kiya mujhe
hairat se dekhtā huā chehra kiyā mujhe
sahrā kiyā kabhī kabhī dariyā kiyā mujhe
kuchh to ināyateñ haiñ mire kārsāz kī
aur kuchh mire mizāj ne tanhā kiyā mujhe
pathrā ga.ī hai aañkh badan boltā nahīñ
jaane kis intizār ne aisā kiyā mujhe
tū to sazā ke ḳhauf se āzād thā magar
merī nigāh se koī dekhā kiyā mujhe
āñkhoñ meñ ret phail ga.ī dekhtā bhī kyā
sochoñ ke iḳhtiyār ne kyā kyā kiyā mujhe
hairat se dekhta hua chehra kiya mujhe
sahra kiya kabhi kabhi dariya kiya mujhe
kuchh to inayaten hain mere karsaz ki
aur kuchh mere mizaj ne tanha kiya mujhe
pathra gai hai aankh badan bolta nahin
jaane kis intizar ne aisa kiya mujhe
tu to saza ke KHauf se aazad tha magar
meri nigah se koi dekha kiya mujhe
aankhon mein ret phail gai dekhta bhi kya
sochon ke iKHtiyar ne kya kya kiya mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.