hum agar sach ke unhen qisse sunane lag jaen
ham agar sach ke unheñ qisse sunāne lag jaa.eñ
log to phir hameñ mahfil se uThāne lag jaa.eñ
yaad bhī aaj nahīñ Thiik tarah se jo shaḳhs
ham use bhūlnā chāheñ to zamāne lag jaa.eñ
shaam hote hī koī ḳhushbū darīcha khole
aur phir biite hue lamhe satāne lag jaa.eñ
ḳhud charāġhoñ ko añdheroñ kī zarūrat hai bahut
raushnī ho to unheñ log bujhāne lag jaa.eñ
ik yahī soch bichhaḌne nahīñ detī tujh se
ham tujhe baa'd meñ phir yaad na aane lag jaa.eñ
ek muddat se ye tanhā.ī meñ jaage hue log
ḳhvāb dekheñ to nayā shahr basāne lag jaa.eñ
hum agar sach ke unhen qisse sunane lag jaen
log to phir hamein mahfil se uThane lag jaen
yaad bhi aaj nahin Thik tarah se jo shaKHs
hum use bhulna chahen to zamane lag jaen
sham hote hi koi KHushbu daricha khole
aur phir bite hue lamhe satane lag jaen
KHud charaghon ko andheron ki zarurat hai bahut
raushni ho to unhen log bujhane lag jaen
ek yahi soch bichhaDne nahin deti tujh se
hum tujhe ba'd mein phir yaad na aane lag jaen
ek muddat se ye tanhai mein jage hue log
KHwab dekhen to naya shahr basane lag jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.