hum aise log jald asir-e-KHizan hue
ham aise log jald asīr-e-ḳhizāñ hue
lekin ġhurūr-o-tamkanat-e-gulsitāñ hue
tūfān-e-ahd-e-tāza tirā shukriya ki ab
jitne sitāre zehn meñ chamke dhuāñ hue
aa.e haiñ phuul dhuup se bachne mirī taraf
merā hī dil hai chāñd jahāñ mehmāñ hue
jab tum mile to sāmne mai-ḳhāna mil gayā
aur falsafe hayāt ke sab rā.egāñ hue
merī nazar se aaj gurezāñ hai gulsitāñ
merī nazar kī chhāñv meñ ġhunche javāñ hue
ab kuchh nahīñ hai ma.abad-e-getī ḳhatā mu'āf
motī se ashk sarf-e-mah-o-kahkashāñ hue
ab mā-hasal hayāt kā bas ye hai ai 'salām'
cigarette jalā.ī she'r kahe shādmāñ hue
hum aise log jald asir-e-KHizan hue
lekin ghurur-o-tamkanat-e-gulsitan hue
tufan-e-ahd-e-taza tera shukriya ki ab
jitne sitare zehn mein chamke dhuan hue
aae hain phul dhup se bachne meri taraf
mera hi dil hai chand jahan mehman hue
jab tum mile to samne mai-KHana mil gaya
aur falsafe hayat ke sab raegan hue
meri nazar se aaj gurezan hai gulsitan
meri nazar ki chhanw mein ghunche jawan hue
ab kuchh nahin hai mabad-e-geti KHata mu'af
moti se ashk sarf-e-mah-o-kahkashan hue
ab ma-hasal hayat ka bas ye hai ai 'salam'
cigarette jalai she'r kahe shadman hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.