Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hamare dil ki baja di hai usne inT se inT

Fawad Ahmad

hamare dil ki baja di hai usne inT se inT

Fawad Ahmad

MORE BYFawad Ahmad

    hamāre dil bajā hai us ne iiñT se iiñT

    hamāre aage kabhī us naam mat lenā

    usī nigāh se piine meñ lutf hai saarā

    alāva us ke koī aur jaam mat lenā

    isī sabab se hai duniyā meñ āsmāñ badnām

    tum apne haath meñ ye intizām mat lenā

    dil o nazar baqā hai faqat mohabbat meñ

    dil o nazar se koī aur kaam mat lenā

    yahāñ pe achchhā hai jitnā bhī muḳhtasar ho qayām

    zalīl hoge hayāt-e-davām mat lenā

    ye saare log tumhārā mazāq uḌāte haiñ

    jahāñ meñ aur mohabbat naam mat lenā

    rahoge chāñd sargoshiyoñ se bhī mahrūm

    kisī se dhuup jaltā kalām mat lenā

    agarche tum pe huā hai yahāñ pe zulm bahut

    kisī se us magar intiqām mat lenā

    hamare dil ki baja di hai us ne inT se inT

    hamare aage kabhi us ka nam mat lena

    usi nigah se pine mein lutf hai sara

    alawa us ke koi aur jam mat lena

    isi sabab se hai duniya mein aasman badnam

    tum apne hath mein ye intizam mat lena

    dil o nazar ki baqa hai faqat mohabbat mein

    dil o nazar se koi aur kaam mat lena

    yahan pe achchha hai jitna bhi muKHtasar ho qayam

    zalil hoge hayat-e-dawam mat lena

    ye sare log tumhaara mazaq uDate hain

    jahan mein aur mohabbat ka nam mat lena

    rahoge chand ki sargoshiyon se bhi mahrum

    kisi se dhup ka jalta kalam mat lena

    agarche tum pe hua hai yahan pe zulm bahut

    kisi se us ka magar intiqam mat lena

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now