Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hamari qurbaton mein fasla na rah jae

Tasneem Abidi

hamari qurbaton mein fasla na rah jae

Tasneem Abidi

MORE BYTasneem Abidi

    hamārī qurbatoñ meñ fāsla na rah jaa.e

    qadam se lipTā huā rāsta na rah jaa.e

    havā-e-vahshat-e-dil tez chal rahī hai bahut

    ridā-e-hijr mirā sar khulā na rah jaa.e

    ḳhudā ke naam pe jis tarah log mar rahe haiñ

    duā karo ki akelā ḳhudā na rah jaa.e

    ye log kis liye apne tavāf meñ haiñ magan

    sanam-kade meñ musallā bichhā na rah jaa.e

    tanābeñ kaaT rahā hai vo ḳhvāhishoñ mirī

    kahīñ pe dasht meñ ḳhema lagā na rah jaa.e

    ye lamha lamha jo ham jām-e-hijr rahe haiñ

    to tishnagī salīqa dharā na rah jaa.e

    mujāvirān-e-adab ik nazar ināyat

    ġhazal shakl meñ katba lagā na rah jaa.e

    hamari qurbaton mein fasla na rah jae

    qadam se lipTa hua rasta na rah jae

    hawa-e-wahshat-e-dil tez chal rahi hai bahut

    rida-e-hijr mera sar khula na rah jae

    KHuda ke nam pe jis tarah log mar rahe hain

    dua karo ki akela KHuda na rah jae

    ye log kis liye apne tawaf mein hain magan

    sanam-kade mein musalla bichha na rah jae

    tanaben kaT raha hai wo KHwahishon ki meri

    kahin pe dasht mein KHema laga na rah jae

    ye lamha lamha jo hum jam-e-hijr pi rahe hain

    to tishnagi ka saliqa dhara na rah jae

    mujaviran-e-adab ek nazar inayat ki

    ghazal ki shakl mein katba laga na rah jae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now