hamari tishna-labi ab subu se khelegi
hamārī tishna-labī ab subū se khelegī
fuġhān-e-dil rag-e-jān-o-gulū se khelegī
sambhal ke rahnā ki is baar saiqal-e-abrū
koī ba.iid nahīñ aabrū se khelegī
karegā sail har ik lahr ko buland apnī
har ek mauj faqat aabjū se khelegī
jasārat-e-rah-e-pur-ḳhār dekhiye to sahī
ye kah rahī hai mirī justujū se khelegī
bahut shagufta-o-rañgīn guftugū hai 'sirāj'
chaman meñ baat tirī rañg-o-bū se khelegī
hamari tishna-labi ab subu se khelegi
fughan-e-dil rag-e-jaan-o-gulu se khelegi
sambhal ke rahna ki is bar saiqal-e-abru
koi baid nahin aabru se khelegi
karega sail har ek lahr ko buland apni
har ek mauj faqat aabju se khelegi
jasarat-e-rah-e-pur-KHar dekhiye to sahi
ye kah rahi hai meri justuju se khelegi
bahut shagufta-o-rangin guftugu hai 'siraj'
chaman mein baat teri rang-o-bu se khelegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.