har ek gam pe ranj-e-safar uThate hue
har ek gaam pe ranj-e-safar uThāte hue
maiñ aa paḌā huuñ yahāñ tujh se duur jaate hue
ajiib aag thī jis ne mujhe faroġh diyā
ik intizār meñ rakkhe diye jalāte hue
tavīl raat se hotā hai barsar-e-paikār
so chaak tez huā hai mujhe banāte hue
ye tez-gāmi-e-sahrā alag mizāj kī hai
jo mujh se bhaag rahī hai qarīb aate hue
hai ek shor-e-guzishta mire ta.āqub meñ
maiñ sun rahā huuñ jise apne paar aate hue
sharīk-e-ātish o āb-o-havā o ḳhaak rahe
mire anāsir-e-tartīb shakl paate hue
bahut qarīb se guzrī hai vo navā-e-safed
mire havās kā niilā dhuāñ uḌāte hue
maiñ imtizāj-e-qadīm-o-jadīd huuñ 'kāmī'
so ism-e-asr hī paḌhnā mujhe bulāte hue
har ek gam pe ranj-e-safar uThate hue
main aa paDa hun yahan tujh se dur jate hue
ajib aag thi jis ne mujhe farogh diya
ek intizar mein rakkhe diye jalate hue
tawil raat se hota hai barsar-e-paikar
so chaak tez hua hai mujhe banate hue
ye tez-gami-e-sahra alag mizaj ki hai
jo mujh se bhag rahi hai qarib aate hue
hai ek shor-e-guzishta mere taaqub mein
main sun raha hun jise apne par aate hue
sharik-e-atish o aab-o-hawa o KHak rahe
mere anasir-e-tartib shakl pate hue
bahut qarib se guzri hai wo nawa-e-safed
mere hawas ka nila dhuan uDate hue
main imtizaj-e-qadim-o-jadid hun 'kaami'
so ism-e-asr hi paDhna mujhe bulate hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.