har ek darwaza mujh par band hota
har ik darvāza mujh par band hotā
añdherā jism meñ nāḳhūn hotā
ye sūraj kyuuñ bhaTaktā phir rahā hai
mire andar utar jaatā to sotā
har ik shai ḳhuun meñ Duubī huī hai
koī is tarah se paidā na hotā
bas ab iqrār ko oḌho bichhāo
na hote ḳhvār jo inkār hotā
salīboñ meñ Tañge bhī aadmī haiñ
agar un ko bhī ḳhud se pyaar hotā
har ek darwaza mujh par band hota
andhera jism mein naKHun hota
ye suraj kyun bhaTakta phir raha hai
mere andar utar jata to sota
har ek shai KHun mein Dubi hui hai
koi is tarah se paida na hota
bas ab iqrar ko oDho bichhao
na hote KHwar jo inkar hota
salibon mein Tange bhi aadmi hain
agar un ko bhi KHud se pyar hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.