hayat-e-raegan hai aur main hun
hayāt-e-rā.egāñ hai aur maiñ huuñ
ye vaqt-e-imtihāñ hai aur maiñ huuñ
mirī tanhā.ī kā aalam na pūchho
ḳhayāl-e-dostāñ hai aur maiñ huuñ
laboñ par mohr-e-ḳhāmoshī hai lekin
nigāhoñ kī zabāñ hai aur maiñ huuñ
mirī taqdīr mujh se bad-gumāñ hai
nasīb-e-dushmanāñ hai aur maiñ huuñ
jigar meñ soz hai aur dil meñ mere
mirā dard-e-nihāñ hai aur maiñ huuñ
garebāñ chaak laT uljhī huī haiñ
baḌā dilkash samāñ hai aur maiñ huuñ
falak vaale mujhe pahchānte haiñ
ye merī kahkashāñ hai aur maiñ huuñ
hayat-e-raegan hai aur main hun
ye waqt-e-imtihan hai aur main hun
meri tanhai ka aalam na puchho
KHayal-e-dostan hai aur main hun
labon par mohr-e-KHamoshi hai lekin
nigahon ki zaban hai aur main hun
meri taqdir mujh se bad-guman hai
nasib-e-dushmanan hai aur main hun
jigar mein soz hai aur dil mein mere
mera dard-e-nihan hai aur main hun
gareban chaak laT uljhi hui hain
baDa dilkash saman hai aur main hun
falak wale mujhe pahchante hain
ye meri kahkashan hai aur main hun
- Book : Tabshii.n (Pg. 72)
- Author : Aqeel ahmed
- Publication : Anjum Siddique (1994)
- Edition : 1994
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.