hazin tum apni kabhi waza bhi sanwaroge
hazīñ tum apnī kabhī vaz.a bhī sañvāroge
qamīs ḳhud hī giregī to phir utāroge
ḳhalā-navardo bahut zarre intizār meñ haiñ
jahāz kaun sā pātāl meñ utāroge
utar ke nīche kabhī mere saath bhī to chalo
buland khiḌkiyoñ se kab talak pukāroge
vo vaqt aa.egā ai mere apne sañg-zanoñ
mahakte phūloñ ke gajre bhī mujh pe vāroge
nikal rahī hai agar tīrgī to kyā tum log
sahar ke vaqt charāġhoñ kī lau ubhāroge
tumheñ qalam ko lahū meñ Dubonā aatā hai
'hazīñ' zarūr tumhī sher ko nikhāroge
hazin tum apni kabhi waza bhi sanwaroge
qamis KHud hi giregi to phir utaroge
KHala-nawardo bahut zarre intizar mein hain
jahaz kaun sa patal mein utaroge
utar ke niche kabhi mere sath bhi to chalo
buland khiDkiyon se kab talak pukaroge
wo waqt aaega ai mere apne sang-zanon
mahakte phulon ke gajre bhi mujh pe waroge
nikal rahi hai agar tirgi to kya tum log
sahar ke waqt charaghon ki lau ubhaaroge
tumhein qalam ko lahu mein Dubona aata hai
'hazin' zarur tumhi sher ko nikhaaroge
- Book : Range-e-Gazal (Pg. 185)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.