Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hijr ki dhup mein chaon jaisi baaten karte hain

Iftikhar Arif

hijr ki dhup mein chaon jaisi baaten karte hain

Iftikhar Arif

MORE BYIftikhar Arif

    hijr dhuup meñ chāoñ jaisī bāteñ karte haiñ

    aañsū bhī to maaoñ jaisī bāteñ karte haiñ

    rasta dekhne vaalī āñkhoñ ke anhone-ḳhvāb

    pyaas meñ bhī dariyāoñ jaisī bāteñ karte haiñ

    ḳhud ko bikharte dekhte haiñ kuchh kar nahīñ paate haiñ

    phir bhī log ḳhudāoñ jaisī bāteñ karte haiñ

    ek zarā jot ke bal par añdhiyāroñ se bair

    pāgal diye havāoñ jaisī bāteñ karte haiñ

    rang se ḳhushbūoñ naatā TūTtā jaatā hai

    phuul se log ḳhizāoñ jaisī bāteñ karte haiñ

    ham ne chup rahne ahd kiyā hai aur kam-zarf

    ham se suḳhan-ārāoñ jaisī bāteñ karte haiñ

    hijr ki dhup mein chaon jaisi baaten karte hain

    aansu bhi to maon jaisi baaten karte hain

    rasta dekhne wali aankhon ke anhone-KHwab

    pyas mein bhi dariyaon jaisi baaten karte hain

    KHud ko bikharte dekhte hain kuchh kar nahin pate hain

    phir bhi log KHudaon jaisi baaten karte hain

    ek zara si jot ke bal par andhiyaron se bair

    pagal diye hawaon jaisi baaten karte hain

    rang se KHushbuon ka nata TuTta jata hai

    phul se log KHizaon jaisi baaten karte hain

    hum ne chup rahne ka ahd kiya hai aur kam-zarf

    hum se suKHan-araon jaisi baaten karte hain

    RECITATIONS

    Iftikhar Arif

    Iftikhar Arif,

    Iftikhar Arif

    hijr ki dhup mein chaon jaisi baaten karte hain Iftikhar Arif

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now