ho lene do barish hum bhi ro lenge
ho lene do bārish ham bhī ro leñge
dil meñ haiñ kuchh zaḳhm purāne dho leñge
merā is bāzār meñ jaanā hai be-sūd
merī anā ko vo sikkoñ se tauleñge
jaate haiñ sab apnī apnī Tolī meñ
apnā kaun hai saath kisī ke ho leñge
us ko shāyad yaad hamārī aa.egī
havā chalegī aur parinde Doleñge
sab chīḳhe chillā.e kyā paḌtā hai farq
be-his patthar kabhī nahīñ kuchh boleñge
ḳhud hī samundar ḳhud hī dariyā Dar kaisā
jab chāheñge ḳhud ko ḳhud meñ samo leñge
dil kī dhaḌkan baḌhī hai sunñe vāloñ kī
kis ne ḳhabar uḌā dī ham kuchh boleñge
ho lene do barish hum bhi ro lenge
dil mein hain kuchh zaKHm purane dho lenge
mera is bazar mein jaana hai be-sud
meri ana ko wo sikkon se taulenge
jate hain sab apni apni Toli mein
apna kaun hai sath kisi ke ho lenge
us ko shayad yaad hamari aaegi
hawa chalegi aur parinde Dolenge
sab chiKHe chillae kya paDta hai farq
be-his patthar kabhi nahin kuchh bolenge
KHud hi samundar KHud hi dariya Dar kaisa
jab chahenge KHud ko KHud mein samo lenge
dil ki dhaDkan baDhi hai sunne walon ki
kis ne KHabar uDa di hum kuchh bolenge
- Book : Muhaz Par mein (Poetry) (Pg. 115)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.