Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hujum-e-dard ka itna baDhe asar gum ho

Ghulam Rabbani Taban

hujum-e-dard ka itna baDhe asar gum ho

Ghulam Rabbani Taban

MORE BYGhulam Rabbani Taban

    hujūm-e-dard itnā baḌhe asar gum ho

    mile vo raat ki jis raat sahar gum ho

    mazā to jab hai ki āvārgān-e-shauq ke saath

    ġhubār ban ke chale aur rahguzar gum ho

    hamārī tarah ḳharāb-e-safar na ho koī

    ilāhī yuuñ to kisī na rāhbar gum ho

    chale haiñ ham bhī charāġh-e-nazar jalā.e hue

    ye raushnī bhī kahīñ raah meñ agar gum ho

    talāsh-e-dost hai dil ko magar ḳhudā jaane

    kahāñ kahāñ ye bhaTaktā phire kidhar gum ho

    chaman chaman haiñ vo nashv-o-numā ke hañgāme

    guloñ ko DhūñDne jaa.e to ḳhud nazar gum ho

    suḳhan jaan hai husn-e-bayāñ magar 'tābāñ'

    na yuuñ ki lafz rah jaa.eñ fikr-e-tar gum ho

    hujum-e-dard ka itna baDhe asar gum ho

    mile wo raat ki jis raat ki sahar gum ho

    maza to jab hai ki aawargan-e-shauq ke sath

    ghubar ban ke chale aur rahguzar gum ho

    hamari tarah KHarab-e-safar na ho koi

    ilahi yun to kisi ka na rahbar gum ho

    chale hain hum bhi charagh-e-nazar jalae hue

    ye raushni bhi kahin rah mein agar gum ho

    talash-e-dost hai dil ko magar KHuda jaane

    kahan kahan ye bhaTakta phire kidhar gum ho

    chaman chaman hain wo nashw-o-numa ke hangame

    gulon ko DhunDne jae to KHud nazar gum ho

    suKHan ki jaan hai husn-e-bayan magar 'taban'

    na yun ki lafz hi rah jaen fikr-e-tar gum ho

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    hujum-e-dard ka itna baDhe asar gum ho Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now