husn ki sar-phiri purwai se Dar lagta hai
husn kī sar-phirī purvā.ī se Dar lagtā hai
ik javāñ peḌ huuñ tanhā.ī se Dar lagtā hai
ghar kī taqsīm vasiyyat ke mutābiq hogī
phir bhī kyoñ mujh ko sage bhaa.ī se Dar lagtā hai
toḌ de jo mujhe sūkhī huī lakḌī kī tarah
aise jazbāt kī añgḌā.ī se Dar lagtā hai
is qadar jhuuT musallat hai abhī duniyā par
aaj har shaḳhs ko sachchā.ī se Dar lagtā hai
kuchh chaTānoñ ne sañbhālā hai pahāḌoñ kā vaqār
kuchh chaTānoñ ko magar raa.ī se Dar lagtā hai
dād-o-tahsīn burī chiiz nahīñ hai 'merāj'
bas mujhe hāshiya-ārā.ī se Dar lagtā hai
husn ki sar-phiri purwai se Dar lagta hai
ek jawan peD hun tanhai se Dar lagta hai
ghar ki taqsim wasiyyat ke mutabiq hogi
phir bhi kyon mujh ko sage bhai se Dar lagta hai
toD de jo mujhe sukhi hui lakDi ki tarah
aise jazbaat ki angDai se Dar lagta hai
is qadar jhuT musallat hai abhi duniya par
aaj har shaKHs ko sachchai se Dar lagta hai
kuchh chaTanon ne sanbhaala hai pahaDon ka waqar
kuchh chaTanon ko magar rai se Dar lagta hai
dad-o-tahsin buri chiz nahin hai 'meraj'
bas mujhe hashiya-arai se Dar lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.