ibtida hun ki intiha hun main
ibtidā huuñ ki intihā huuñ maiñ
umr bhar sochtā rahā huuñ maiñ
lafz-o-ma.anī se māvarā huuñ maiñ
ek ḳhāmosh iltijā huuñ maiñ
dil meñ koī ḳhushī nahīñ lekin
ādatan muskurā rahā huuñ maiñ
nā-tavāñ ho ke adl chāhtā huuñ
vāqa.ī qābil-e-sazā huuñ maiñ
dekh kar rañg bazm-e-ālam kā
naqsh-e-dīvār ban gayā huuñ maiñ
subah ke intizār meñ 'rif.at'
raat bhar sochtā rahā huuñ maiñ
ibtida hun ki intiha hun main
umr bhar sochta raha hun main
lafz-o-mani se mawara hun main
ek KHamosh iltija hun main
dil mein koi KHushi nahin lekin
aadatan muskura raha hun main
na-tawan ho ke adl chahta hun
waqai qabil-e-saza hun main
dekh kar rang bazm-e-alam ka
naqsh-e-diwar ban gaya hun main
subah ke intizar mein 'rifat'
raat bhar sochta raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.