ek azab hota hai roz ji ka khona bhi
ik azaab hotā hai roz jī kā khonā bhī
ro ke muskurānā bhī muskurā ke ronā bhī
raunaqeñ thī shahroñ meñ barkateñ mohalloñ meñ
ab kahāñ mayassar hai ghar meñ ghar kā honā bhī
dil ke khel meñ har dam ehtiyāt lāzim hai
TūT-phūT jaatā hai varna ye khilaunā bhī
dīdanī hai sāhil par ye ġhurūb kā manzar
bah rahā hai paanī meñ āsmāñ kā sonā bhī
raat hī ke dāman meñ chāñd bhī haiñ taare bhī
raat hī kī qismat hai be-charāġh honā bhī
vaqt aa paḌā aisā vaqt hī nahīñ miltā
chhuT gayā hai barsoñ se apnā ronā-dhonā bhī
ek azab hota hai roz ji ka khona bhi
ro ke muskurana bhi muskura ke rona bhi
raunaqen thi shahron mein barkaten mohallon mein
ab kahan mayassar hai ghar mein ghar ka hona bhi
dil ke khel mein har dam ehtiyat lazim hai
TuT-phuT jata hai warna ye khilauna bhi
didani hai sahil par ye ghurub ka manzar
bah raha hai pani mein aasman ka sona bhi
raat hi ke daman mein chand bhi hain tare bhi
raat hi ki qismat hai be-charagh hona bhi
waqt aa paDa aisa waqt hi nahin milta
chhuT gaya hai barson se apna rona-dhona bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.