ek parinda abhi uDan mein hai
ik parinda abhī uḌaan meñ hai
tiir har shaḳhs kī kamān meñ hai
jis ko dekho vahī hai chup chup sā
jaise har shaḳhs imtihān meñ hai
kho chuke ham yaqīn jaisī shai
tū abhī tak kisī gumān meñ hai
zindagī sañg-dil sahī lekin
ā.īna bhī isī chaTān meñ hai
sar-bulandī nasīb ho kaise
sar-nigūñ hai ki sā.ebān meñ hai
ḳhauf hī ḳhauf jāgte sote
koī aaseb is makān meñ hai
aasrā dil ko ik umiid kā hai
ye havā kab se bādbān meñ hai
ḳhud ko paayā na umr bhar ham ne
kaun hai jo hamāre dhyān meñ hai
ek parinda abhi uDan mein hai
tir har shaKHs ki kaman mein hai
jis ko dekho wahi hai chup chup sa
jaise har shaKHs imtihan mein hai
kho chuke hum yaqin jaisi shai
tu abhi tak kisi guman mein hai
zindagi sang-dil sahi lekin
aaina bhi isi chaTan mein hai
sar-bulandi nasib ho kaise
sar-nigun hai ki saeban mein hai
KHauf hi KHauf jagte sote
koi aaseb is makan mein hai
aasra dil ko ek umid ka hai
ye hawa kab se baadban mein hai
KHud ko paya na umr bhar hum ne
kaun hai jo hamare dhyan mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.