ik tajassus dil meñ hai ye kyā huā kaise huā
jo kabhī apnā na thā vo ġhair kā kaise huā
maiñ ki jis kī maiñ ne to dekhā na thā sochā na thā
sochtā huuñ vo sanam merā ḳhudā kaise huā
hai gumāñ dīvār-e-zindāñ kā fasīl-e-shahr par
vo jo ik shola thā har dil meñ fanā kaise huā
rañg-e-ḳhūñ roz-e-azal se hai nishān-e-inqilāb
ziist kā unvāñ magar rañg-e-hinā kaise huā
ġhaznavī to but-shikan Thahrā magar 'ḳhātir' ye kyā
tere maslak meñ use sajda ravā kaise huā
ek tajassus dil mein hai ye kya hua kaise hua
jo kabhi apna na tha wo ghair ka kaise hua
main ki jis ki main ne to dekha na tha socha na tha
sochta hun wo sanam mera KHuda kaise hua
hai guman diwar-e-zindan ka fasil-e-shahr par
wo jo ek shola tha har dil mein fana kaise hua
rang-e-KHun roz-e-azal se hai nishan-e-inqilab
zist ka unwan magar rang-e-hina kaise hua
ghaznawi to but-shikan Thahra magar 'KHatir' ye kya
tere maslak mein use sajda rawa kaise hua
ek tajassus dil mein hai ye kya hua kaise hua
Nomaan Shauque
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.