is ka nahin hai gham koi, jaan se agar guzar gae
is kā nahīñ hai ġham koii, jaañ se agar guzar ga.e
dukh kī añdherī raat meñ ham bhī charāġh dhar ga.e
shān-o-shikoh kyā hue, qaisar-o-jam kidhar ga.e
taḳht ulaT ulaT ga.e, taaj bikhar bikhar ga.e
fikr-e-ma.āsh ne sabhī jazboñ ko sard kar diyā
saḌkoñ pe din guzar gayā ho ke niDhāl ghar ga.e
lipTe rahe tamām raat phuul kī pattiyoñ ke saath
dhuup paḌī jo phuul par qatre farār kar ga.e
tundī-e-sail-e-vaqt meñ ye bhī hai koī zindagī
sub.h huī to jī uThe, raat huī to mar ga.e
gard-e-safar meñ kho ga.e, aise hazāroñ rāh-rau
raah meñ jo Thahar ga.e, āñdhiyoñ se jo Dar ga.e
phir bhī kisī ra.iis ke dil kī tarah hai chashm tañg
aap phire haiñ mulk mulk aap nagar nagar ga.e
khil ke raheñge dekhnā chār-sū raushnī ke phuul
raat ke dasht kī taraf naqsh-gar-e-sahar ga.e
ḳhaak meñ terī mil ga.ī 'faiz' ke jism kī ziyā
ab to dayār-e-mahvashāñ qarz tamām utar ga.e
is ka nahin hai gham koi, jaan se agar guzar gae
dukh ki andheri raat mein hum bhi charagh dhar gae
shan-o-shikoh kya hue, qaisar-o-jam kidhar gae
taKHt ulaT ulaT gae, taj bikhar bikhar gae
fikr-e-maash ne sabhi jazbon ko sard kar diya
saDkon pe din guzar gaya ho ke niDhaal ghar gae
lipTe rahe tamam raat phul ki pattiyon ke sath
dhup paDi jo phul par qatre farar kar gae
tundi-e-sail-e-waqt mein ye bhi hai koi zindagi
subh hui to ji uThe, raat hui to mar gae
gard-e-safar mein kho gae, aise hazaron rah-rau
rah mein jo Thahar gae, aandhiyon se jo Dar gae
phir bhi kisi rais ke dil ki tarah hai chashm tang
aap phire hain mulk mulk aap nagar nagar gae
khil ke rahenge dekhna chaar-su raushni ke phul
raat ke dasht ki taraf naqsh-gar-e-sahar gae
KHak mein teri mil gai 'faiz' ke jism ki ziya
ab to dayar-e-mahwashan qarz tamam utar gae
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 300)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23)
- Edition : Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.