Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq ki rasm nibhana thi nibha li maine

Taruna Mishra

ishq ki rasm nibhana thi nibha li maine

Taruna Mishra

MORE BYTaruna Mishra

    ishq rasm nibhānā thī nibhā maiñ ne

    dard bastī basānā thī basā maiñ ne

    vo zarūr aa.egā ik aas lagā maiñ ne

    ghar har chiiz qarīne se sajā maiñ ne

    aaj phir chaa.e banāte hue vo yaad aayā

    aaj phir chaa.e meñ pattī nahīñ Daalī maiñ ne

    aag dahkī to nikalnā paḌā kamre se magar

    us tasvīr kisī tarah bachā maiñ ne

    naam us liyā kartī hai vo shām-o-sahar

    ek mainā jo baḌe pyaar se paalī maiñ ne

    vo to mahfil meñ elān-e-vafā kar detā

    baat mat pūchhiye phir kaise sambhālī maiñ ne

    ghar buniyād ke patthar bhī saḌak par hote

    vo to achchhā huā dīvār bachā maiñ ne

    ishq ki rasm nibhana thi nibha li main ne

    dard ki basti basana thi basa li main ne

    wo zarur aaega ek aas laga li main ne

    ghar ki har chiz qarine se saja li main ne

    aaj phir chae banate hue wo yaad aaya

    aaj phir chae mein patti nahin Dali main ne

    aag dahki to nikalna paDa kamre se magar

    us ki taswir kisi tarah bacha li main ne

    nam us ka hi liya karti hai wo sham-o-sahar

    ek maina jo baDe pyar se pali main ne

    wo to mahfil mein hi elan-e-wafa kar deta

    baat mat puchhiye phir kaise sambhaali main ne

    ghar ki buniyaad ke patthar bhi saDak par hote

    wo to achchha hua diwar bacha li main ne

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now