ishq pahle to gulabon ki tarah hota hai
ishq pahle to gulāboñ kī tarah hotā hai
aur phir ba.ad meñ kāñToñ kī tarah hotā hai
saath rahte hue bhī saath nahīñ rahtā hai
apnā saaya bhī to ġhairoñ kī tarah hotā hai
koshāñ rahte haiñ ki TuuTe na kabhī us kā yaqīn
aur yaqīñ kāñch ke kanchoñ kī tarah hotā hai
dil kī āvāz sunī aur mohabbat kar lī
aadmī ishq meñ bachchoñ kī tarah hotā hai
jalva-e-yār kā manzar hai vo manzar kī jise
dekhne vaalā bhī andhoñ kī tarah hotā hai
is liye maiñ ne tire ġham kī hifāzat kī hai
ġham purānā ho to phūloñ kī tarah hotā hai
ek hī scene meñ pastī se bulandī kā safar
zindagī meñ kahāñ filmoñ kī tarah hotā hai
maiñ ne dekhā to nahīñ 'mīr' kā dīvān magar
jāntā huuñ tirī āñkhoñ kī tarah hotā hai
ishq pahle to gulabon ki tarah hota hai
aur phir baad mein kanTon ki tarah hota hai
sath rahte hue bhi sath nahin rahta hai
apna saya bhi to ghairon ki tarah hota hai
koshan rahte hain ki TuTe na kabhi us ka yaqin
aur yaqin kanch ke kanchon ki tarah hota hai
dil ki aawaz suni aur mohabbat kar li
aadmi ishq mein bachchon ki tarah hota hai
jalwa-e-yar ka manzar hai wo manzar ki jise
dekhne wala bhi andhon ki tarah hota hai
is liye main ne tere gham ki hifazat ki hai
gham purana ho to phulon ki tarah hota hai
ek hi scene mein pasti se bulandi ka safar
zindagi mein kahan filmon ki tarah hota hai
main ne dekha to nahin 'mir' ka diwan magar
jaanta hun teri aankhon ki tarah hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.