jaane kis KHwab-e-pareshan ka hai chakkar sara
jaane kis ḳhvāb-e-pareshāñ kā hai chakkar saarā
bikhrā bikhrā huā rahtā hai mirā ghar saarā
mutma.in ham the bahut jiit hamārī hogī
kaise phir aa gayā narġhe meñ ye lashkar saarā
bāda-e-ġham se hai sarshār mirā bātin bhī
aur isī ġham se ujālā hai ye bāhar saarā
maiñ ne māñgī thī duā TuuT ke barse bādal
ab jo barsā hai to barsā hai ye chhappar saarā
mausam-e-abr kī to baat yūñhī aa.ī thī
kyuuñ sharābor huā aap kā paikar saarā
maiñ ne sochā ki satā.egī bahut pyaas mujhe
pī gayā jhoñk meñ bas aa ke samundar saarā
jaane kis KHwab-e-pareshan ka hai chakkar sara
bikhra bikhra hua rahta hai mera ghar sara
mutmain hum the bahut jit hamari hogi
kaise phir aa gaya narghe mein ye lashkar sara
baada-e-gham se hai sarshaar mera baatin bhi
aur isi gham se ujala hai ye bahar sara
main ne mangi thi dua TuT ke barse baadal
ab jo barsa hai to barsa hai ye chhappar sara
mausam-e-abr ki to baat yunhi aai thi
kyun sharabor hua aap ka paikar sara
main ne socha ki sataegi bahut pyas mujhe
pi gaya jhonk mein bas aa ke samundar sara
- Book : maazii ka aainda
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.