jab bhī barsī azaab kī bārish
raas aa.ī sharāb kī bārish
maiñ ne pūchhā ki pyaar hai mujh se
us ne kar dī gulāb kī bārish
maiñ ne to ik savāl pūchhā thā
us ne kar dī javāb kī bārish
husn vāloñ ke vāste kar de
ai ḳhudā tū hijāb kī bārish
shā.irī par yaqīñ hai barsegī
ek din to ḳhitāb kī bārish
maiñ ne ik jaam aur māñgā thā
us ne kar dī hisāb kī bārish
der tak saath bhīge ham us ke
ham ne yuuñ kāmyāb kī bārish
pyaar se rok dī 'ahad' maiñ ne
aaj us ke itaab kī bārish
jab bhi barsi azab ki barish
ras aai sharab ki barish
main ne puchha ki pyar hai mujh se
us ne kar di gulab ki barish
main ne to ek sawal puchha tha
us ne kar di jawab ki barish
husn walon ke waste kar de
ai KHuda tu hijab ki barish
shairi par yaqin hai barsegi
ek din to KHitab ki barish
main ne ek jam aur manga tha
us ne kar di hisab ki barish
der tak sath bhige hum us ke
hum ne yun kaamyab ki barish
pyar se rok di 'ahad' main ne
aaj us ke itab ki barish
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.