jab se dariya mein hai tughyani bahut
jab se dariyā meñ hai tuġhyānī bahut
paar jaane meñ hai āsānī bahut
koī manzar bhī nahīñ achchhā lagā
ab ke āñkhoñ meñ hai vīrānī bahut
apnī qīmat to nahīñ lekin yahāñ
aise gauhar kī hai arzānī bahut
khet haiñ banjar to sahrā be-numū
varna dariyāoñ meñ hai paanī bahut
us ke chehre par mirī āñkheñ sajīñ
mere chehre par thī hairānī bahut
kyā ḳhulūs-o-mehr kī bāteñ kareñ
zindagī meñ hai pashemānī bahut
har kisī ko 'ilm hai 'ābid-vadūd'
bāteñ us kī jānī-pahchānī bahut
jab se dariya mein hai tughyani bahut
par jaane mein hai aasani bahut
koi manzar bhi nahin achchha laga
ab ke aankhon mein hai virani bahut
apni qimat to nahin lekin yahan
aise gauhar ki hai arzani bahut
khet hain banjar to sahra be-numu
warna dariyaon mein hai pani bahut
us ke chehre par meri aankhen sajin
mere chehre par thi hairani bahut
kya KHulus-o-mehr ki baaten karen
zindagi mein hai pashemani bahut
har kisi ko 'ilm hai 'abid-wadud'
baaten us ki jaani-pahchani bahut
- Book : Aur Savira Na Hua (Pg. 118)
- Author : Abid Wadood
- Publication : Multi Media Affairs (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.